Posts Tagged ‘keh-den’

hum dil ki kahani keh den ge.

Kuch door hamare sath chalo
hum dil ki kahani keh den ge,
Samje na jisy tum aankhon se
wo baat zubani keh den ge,
pholon ki tarah honton pe
ek shokh tabasum bikhre ga,
Dheere se tumhare kanon main
ek baat purani keh den ge,
Izhare wafa tum kya jano
iqrare wafa tum kya jano,
Hum ziker karen ge ghairon ka
aur apni kahani keh den ge,
kuch door hamare sath chalo
hum dil ki kahani keh den ge.

  • Share/Bookmark

Pehlay Sa Pyar Nahi

shaid ab muj hi me wo baat nahi
k us ko ab pehlay sa pyar nahi

pehly chahti thi wo dewaano ki tara
sath jenay marny ki ksmain khaya krti thi

baat jab koi me us say karta tha
to muj ko pyar sy wo dekha karti thi

batain us ki muj ko yaad hn ab tak
such kehta hon bhula me koi bat nahin
har pal yaad us ko hi karta hon
bas us ko ab kuch yaad nahin

shaid ab muj me hi wo baat nahi
k us ko ab pehlay sa pyar nahi

  • Share/Bookmark

falsfa-e-zindagi

sekha hay jab se main ne falsfa-e-zindagi
kaisy kahun k uss ka rawayya badal gaya
jis ne kaha tha sath chalain gay tamam umr
badla hawa ne rukh to wada badal gaya
un ko tha ye guman wo dil haar jayen gay
shayed iss liay unka irada badal gaya
hairat hay FARAZ k muddat qaleel main
wo shakhs meri soch se zyada badal gaya

Related Posts with Thumbnails
  • Share/Bookmark

Archives