‘Poetry’ Articles
Written by Tariq on 25 July 2010
Musafir to bichertay hain rifakat kab badlti hai..
Muhabbat zinda rehti hai Muhabbat kab badlti hai
kali ka phool ban’na aur bikhar jana mukaddar hai..
Yehi qanoon-e-fitrat hai aur fitrat kab badlti hai
Jo DiL me bas jaye aur aankhon me simat aye
Alamat hai ye Chahat ki aur Chahat kab badlti hai
Tumhi ko Chahtay hain Tumhi se Muhabbat kertay hain.
Yehi barson se adat hai aur adat kab badlti hai
Tags: aur-aankhon, autumn, fitrat-kab, jaise, meray-hath, never-meet, Poetry, rifakat-kab, true-friends
Posted in Poetry | No Comments »
Written by Tariq on 24 July 2010
Meri dunya me beshak andhra rahe,
Tere lab pe hansi ka basera rahe,
Phol khilte rahen tere charo taraf,
Tere hr simt khushbu ka daira rahe,
Zindgi me teri sham aye nai,
Ek chamakta damakta sawera rahe,
Tu mere sang ho ye zarori nai Bs,
Tu jahn b rahe sirf mera rahe,,”
Tags: beshak-andhra, daira-rahe, dil, easy, karb, ker-day, mera-rahe, Poetry, rahe-sirf, rs-10, sawera-rahe, say-khaira, tere-charo
Posted in Poetry | No Comments »
Written by Tariq on 15 July 2010
Apney Uljhey Huwey Din Raat Bhi Suljha Na Sakey
Itney Be-faiz Hain Khud Apney Hi Kaam Aa Na Sakey
Saaya-e-Zeest Ko Dhaltey Huwey Daikha Lekin
Taptey Sehra Pay Koi Naqsh-e-Khushi Paa Na Sakey
Dil Bhi Machla Tha Nigahein Bhi Palat Jaati Theen
Unn Ki Dehleez Pay Lekin Ye Qadam Jaa Na Sakey
Dil Ki Taskheer Hi Darasal Fatah Mandi Hai
Unn Ko Paa Kar Bhi Magar Hum Unhein Apna Na Sakey
Daastan Kehney Ki Kuch Waqt Ne Mohlat Hi Na Di
Lab Kusha Ho Na Sakey Dil Unhein Dilkhla Na Sakey
Khilti Kaliyon Ke Tabasum Ki Haqeeqat Kya Hai
Bikhrey Phoolon Say Jo Poocha To Woh Samjha Na Sakey ….
Tags: be-faiz, daikha, darasal, darasal-fatah, dehleez, dhaltey, dhaltey-huwey, machla, palat-jaati, Poetry, sakey, sakey-itney, searching, tamaam, the-biggest
Posted in Poetry | No Comments »
Written by Tariq on 18 May 2010
Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana
Sirf Ahsaan Jataane ke Liye Mat Mana
Maine Palkon Pe Tamannaen Saja Rakhi Hain
Dil Par Umeed ki 100 Rasmen Jala Rakhi Hain
Ye Hanseen Shamen Bujhaane ke Liye Mat Aana
Pyar ki Aag Main Zanjeer Pighal Sakti Hai
Chahne Walon ki Takdeer Badal Sakti Hai
Hoon Bebas Ye Batane ke Liye Mat Aana
Mujhse Milne ki Agar Tumko Nahi Chahat koi
Tum Sirf Rasmen Nibhane ke Liye Mat Aana
Tags: aaj-tak, bujha-kar, hanseen-shamen, lagta-hai, rakhi-hain, sadness poetry, sapne-chura, takdeer, tamannaen
Posted in Poetry | No Comments »
Written by Tariq on 27 March 2010
g
ar ham kahe.n aur vo muskuraa de.n
ham unake lie zi.ndagaanii luTaa de.n
har ek mo.D par ham Gamo.n ko sazaa de.n
chalo zindagii ko mohabbat banaa de.n
agar Khud ko bhuule to, kuchh bhii na bhuule
ki chaahat me.n unakii, Khudaa ko bhulaa de.n
kabhii Gam kii aa.Ndhii, ji.nhe.n chhuu na paaye
vafaao.n ke ham, vo nasheman banaa de.n
qayaamat ke diivaane kahate hai.n hamase
chalo unake chahare se pardaa haTaa de.n
sazaa de.n, silaa de.n, banaa de.n, miTaa de.n
magar vo koii faisalaa to sunaa de.n
Posted in Poetry | 1 Comment »
Written by Tariq on 27 March 2010
agar badan ek makaan hai
makaan bhii ek kiraaye kaa
aur is me.n ham muqiim hai.n
kiraayedaar kii tarah
to maalike-makaan ko koii
Khabar bhej de
ke luT chuke hai.n ham
hamaare paas ab nahii.n hai
koii aisii shaih
kii jisako ham kiraaye ke bataur
usako de sake.n
baGair kuchh adaa kiye
Thaharanaa is makaan me.n
hamaarii zaKhm zaKhm par
bula.nd sar panaah qubuul kar sake
nahii.n hai ye hame.n yaqii.n
to maalike-makaan
yaa to aa ke sambhaal le vagarnaa phir
hame.n ye Khud makaan
usako chho.D kar safar ke baa.Ndhanii pa.Degii
ye shikastaa-tar kamar
Tags: de-n-har, jaa-musalasal, jisako-ham, kii-tarah, kiraaye-kaa, koii-aisii, kuchh-adaa, kuchh-bhii, nahii-n-hai, Poetry, tamannaa-kiye, thaharanaa
Posted in Poetry | 2 Comments »
Written by Tariq on 06 March 2010
Ham ne mana keh TAGHAFUL na karo gai lekin
KHAK ho jain ge ham, tum ko KHABAR hone tak

Tags: all-these, hone-tak, karo-gai, khak, Makeup, mana-keh, Poetry, tips to dress up
Posted in Poetry | No Comments »
Written by Tariq on 06 March 2010
Kuch door hamare sath chalo
hum dil ki kahani keh den ge,
Samje na jisy tum aankhon se
wo baat zubani keh den ge,
pholon ki tarah honton pe
ek shokh tabasum bikhre ga,
Dheere se tumhare kanon main
ek baat purani keh den ge,
Izhare wafa tum kya jano
iqrare wafa tum kya jano,
Hum ziker karen ge ghairon ka
aur apni kahani keh den ge,
kuch door hamare sath chalo
hum dil ki kahani keh den ge.
Tags: baat-purani, dheere, hone-tak, hum-dil, iqrare-wafa, jisy-tum, keh-den, kya-jano, Poetry, shokh-tabasum, tarah-honton, tips to dress up, tum-kya, tumhare-kanon
Posted in Poetry | No Comments »